buffet ki davat
ek din mujhe bhi jana pada barat main,
dost yaaron ke saath main
sabhi ke sabhi bahar se show piece andar se rukhe the
magar kya karein bhai sahab do din se bhukhe the
jaise hi khane ka sandesha aya hall main
bhagdade mach gayi pandal main
ek ke ooper ek barsene lage
jisne jhapat liya so jhapat liya ,baki ke khade tarsane lage
ek vyakti haath main plate liye idhar se udhar chakkar laga raha tha
khana lena to door use dekh bhi nahi pa raha tha
doosra apni plate main kuch khana to laya tha
par use se kahin jyada to apna kurta phad laya tha
teesri ek mahila thi jo sangharse main peeche khadd thi
uski aadhi saree paneer ki sabjii main sani thi
use bar-bar dho rahi thi kyonki
padosan ki phane kar aayi thi isliye ro rahi thi
chotha gareeb tha lachar tha
iseliye kapde utar kar pahle se taiyaar tha
panchva akele hi saare jhatke jhel raha tha
bheed main ghusne se pahle dand pel raha tha
chathan kalpana main hi khana kha raha tha
plate doosre ki dekh raha tha munhe apna chala raha tha
saatenve ka to iishvar hi maalik tha
plate to uske haanth main thi khana gayab tha
aadhnva ajeeb harkatien kar raha tha
khana khane ki bajaye jaibo main bhar raha tha
ant main dekhte huye yah haalat maine kaha laute chalain sahi salamat
tab maine dosto se kaha yadi main kisi pahalvan ko apna dost banata
to kam se kam bhooka to ghar bapas na ata
kamjor dost se yaari karke main pachta raha hoon
main lagataar do raaton se jakar bina khana khaye laut ta aa raha hoon.........
